Friday, September 26, 2008

Aisi hai woh

This poem is dedicated to the girl(Name can not be mentioned bcz this post is avilable for public) who asked me to write a poem for her through previous post's comment...

<---- Aisi hai woh----->


Ek ladki hai woh
Har dam roti hai woh
Pari si lagti woh
bachcho si jid karti woh...

Bheed main jaana aadat
ban gayi hai usko
Ravi ki kiran banne ki
khwahish hai usko...

Saath rahegi sadaa
Soch rahi hai woh
jab ki agle pal se
anjaan hai woh....

Ghar se door
Rehna chaahti hai woh
Apna aashiyana khud
hi banana chaahti hai woh....

aane wali mushkilo ko
mahsoos karti hai woh
fir bhi muskarana
jaanti hai woh...

aansuo ko lutaanaa jaanti hai woh
apne jeevan saathi ko pehchaanti woh
koso dur, nahi kareeb hai woh
yahi jooth kahti hai woh..
Is jooth ko jindagi ka jaam banaakar
har shaam piye Ja rahi hai woh..
Aisi hai woh...
Aisi hai woh....

<---- Manish Jain ---->

Wednesday, September 24, 2008

Kahin kho jaata hoon

Kehna kya tha
Kah kya gaya main
Apni hi baaton main
kahi kho gaya main

Zindagi se ladne ka
socha tha maine
Ladte ladte kab maut ko
daawat de aayaa main

Kabhi na haarne ki
kasam khaayi thi maine
aaj jeetkar bhi
haar gaya hoon main

apni hi baato mai
kahin kho gaya hoo main......

Hamesha khush rehta tha main
Muskaraane ko kehtaa tha main
aaj haste haste hi sahi par
rone ke bahane dhundhane laga hoo main

Zindagi jee raha hoon
ya kaat raha hoon
mujhe nahi pata
kya kar raha hoon main

jo bhi hoo main
thik nahi hoon main
yeah ahsaas dil ko
mahsoos karata hoon main
Sochkar yeah aur
dukhi ho jaata hoon main
apni ho baato main
kahin kho jaataa hoo main....
kahin kho jaataa hoo main.....

Wednesday, September 17, 2008

Shayad yahi to Pyaar hai

Na Jaane ise kya ho gaya hai
Shayad ise pyaar ho gaya hai
Khuli aankhon se dekhne
laga hai sapne.
Khoya sa rahta hai
jab saath ho apne
Akele main muskarane laga hai
bheed main rone laga hai
na jaane ise kya ho gaya hai
shayad ise pyaar ho gaya hai......

Sardi main paseene se
tarbatar rehne laga hai
apni parchhai se
pyaar karne laga hai
Har baat pe gungunaane
lag gaya hai
shayad ise pyaar ho gaya hai...

apne pyaar se
anjaan ho gaya hai
kaun samjhaye ise
ki pyaar ho gya hai
sard hawa suhani lagti hai
har baat uski apni lagti hai
jindagi ke maayne samjah gaya hai
shayad ise pyaar ho gaya hai.....

apne saaye se baat karne laga hia
apni chaya main use dhoondhne laga hai
shareer yahan aur
dil kahin aur rahne laga hai
mano ya na maano pyaar ke chakkar main yeah fasne laga hai
apni jaan kisi aur ko de aayaa hai
shaayad ise pyaar ho gaya hai....

Deewangi ki had ko
paar kar gaya hai.
yeah aashiq aur majnu
qaraar ho gaya hai.
phir bhi yeah maanne ko
tayyaar nahi hua ki
ise pyaar ho gaya hai....
pyaar ho gaya hai......

Thursday, September 4, 2008

Har roz yahi hota hai

yeah raat guzar jaayegi
Ek khwab muskaraayega
Ek kali khatm hogi
aur Ek phool khilkhilayega
Har roz yahi hota hai
Har roz yahi hota hai.....

Aankhon main aasuon ka mela lagta hai
koshish hoti hai bahar laane ki
man ka dard kam karne ki
koshish koshish hi rahti hai
har roz yahi kahani hoti hai
har roz yahi kahani hoti hai....

Naino ko to kuch nahi hota
Par dil to bheeg hi jaata hai
Chaut to nahi lagti
par dard to ho hi jata hai
har roz yahi hota hai
har roz yahi hota hai....

Haqeeqat kuch bhi ho
Par sapna to toot hi jaata hai
Dosti ho ya na ho
Jagda ho hi jaata hai
Dukh ka to pata nahi
Aanand awashya door chala jaata hau
Har roz yahi hota hai
har roz yahi hota hai....

Yaad ooski aati hai
aur dil saham sa jaata hai
abhi ka to pata nahi
kal ka har lamha yaad aataa hai
Zindagi ek baar milti hai
Maut bhi ek baar milti hai
Apwaad main hi kyun hota hu
Har roz main hi marta hu
har roz yahi hota hai
har roz yahi hota hai....

Din main Chhaayaa ka sahara hota hai
Shaam se main Tanha rah jaata hu
Kabhi use paane ko main
Deepak jala leta hoon
Fir hawa ka jhokaa aata hai
Deepak boojhta jaataa hai
Har roz yahi hota hai...
har roz yahi hota hai...

Taara Aasmaan main toot ta hai
Khwahish meri adhoori rah jaati hai
Raat hamesha hoti hai
par neend kabhi nahi aati hai
Har roz yahi hota hai
har roz yahi hota hai....

Waqt ka pahiya chalta hai
main usme peestaa jaata hoon
Har pyaale ko apne khoon se bhara main paata hoo
Use peekar bhi chehre par muskaan main laata hoon....

Har mushkil aasaan banaate hai
Har sawal ho hal karte hai
Par is haste chehre ke pichhe ka gam
koi nahi jaan paata hai
Har roz yahi hota hai
Har roz yahi hota hai.......

----By Manish Jain----

Tuesday, September 2, 2008

Chaya - 5

Chaahunga main tujhe
Apni jaan se jyaada...
Mrityu shayya per bhi yaad
karne ka deta hu waaadaa.

Bhagyan k ghar pe
aashiq hai aayaa...
Ise pahucha dena wahan
Jahan hai iski chaya....

Hasrat

---------Hasrat-------
Dukh apne liye
aanand sabke liye
Main yeah kehta gaya
kehte kehte apni hi
saanso ko lutata gaya...

Jindagi ke kuch
pal abhi baaki hai..
saanse lutaane ki
hasrat abhi baaki hai...

Ek baar saanso se
mulaqaat main chahta hu....
oonhe lootakar fir apni
hasrat puri karna chahtaa hu....

Monday, September 1, 2008

Chaya - 3

Khushi ho ya masti
santulan hai banaya....

Gam main bhi hasna
jisne mujhe sikhaya....

kaayaa ka to pata nahi
man jiska mujhe hai bhaayaa...

Kuch isi tarah ki
hai meri Chaya....