Thursday, September 4, 2008

Har roz yahi hota hai

yeah raat guzar jaayegi
Ek khwab muskaraayega
Ek kali khatm hogi
aur Ek phool khilkhilayega
Har roz yahi hota hai
Har roz yahi hota hai.....

Aankhon main aasuon ka mela lagta hai
koshish hoti hai bahar laane ki
man ka dard kam karne ki
koshish koshish hi rahti hai
har roz yahi kahani hoti hai
har roz yahi kahani hoti hai....

Naino ko to kuch nahi hota
Par dil to bheeg hi jaata hai
Chaut to nahi lagti
par dard to ho hi jata hai
har roz yahi hota hai
har roz yahi hota hai....

Haqeeqat kuch bhi ho
Par sapna to toot hi jaata hai
Dosti ho ya na ho
Jagda ho hi jaata hai
Dukh ka to pata nahi
Aanand awashya door chala jaata hau
Har roz yahi hota hai
har roz yahi hota hai....

Yaad ooski aati hai
aur dil saham sa jaata hai
abhi ka to pata nahi
kal ka har lamha yaad aataa hai
Zindagi ek baar milti hai
Maut bhi ek baar milti hai
Apwaad main hi kyun hota hu
Har roz main hi marta hu
har roz yahi hota hai
har roz yahi hota hai....

Din main Chhaayaa ka sahara hota hai
Shaam se main Tanha rah jaata hu
Kabhi use paane ko main
Deepak jala leta hoon
Fir hawa ka jhokaa aata hai
Deepak boojhta jaataa hai
Har roz yahi hota hai...
har roz yahi hota hai...

Taara Aasmaan main toot ta hai
Khwahish meri adhoori rah jaati hai
Raat hamesha hoti hai
par neend kabhi nahi aati hai
Har roz yahi hota hai
har roz yahi hota hai....

Waqt ka pahiya chalta hai
main usme peestaa jaata hoon
Har pyaale ko apne khoon se bhara main paata hoo
Use peekar bhi chehre par muskaan main laata hoon....

Har mushkil aasaan banaate hai
Har sawal ho hal karte hai
Par is haste chehre ke pichhe ka gam
koi nahi jaan paata hai
Har roz yahi hota hai
Har roz yahi hota hai.......

----By Manish Jain----

No comments: